2 switch 2 socket board wiring connection diagram
Dosto aaj main aapko 2 switch aur 2 socket board ka connection kaise kiya jata hai uske bare mein bataunga jise banana bahut hai aasaan hai aur aap ke liye ek aisa diagram pesh karonga jise dekh kar bhi aap isaka wiring kar sakte hai .
![]() |
2 switch 2 socket |
2 socket 2 switch board wiring
Tow switch aur tow socket ka connection karne ke liye hame mukhya roop se 4 saman ki jarurat porege jiske list neche de gayee hai aur yeh kisi bhi electric shop mein asani se mil jayega jis ka budget 100 rupees ke andar asani se mil jayega .
- 2pc 6A-10A Sockets
- 2pc 6A-10A Switches
- 1mm-1.5mm wire
- PvC 7×4 Box
Sab se pahale apane suvidha anusaar box mein do switch aur do socket ko fix kar le aur ise aap apni jarurat ke mutabik kisi bhi taraph install kar sakte hai lekin is ka connection karane ka tareka sam hee rahega jia ke bare mein upar photo mein bataya gaya hai. or ek post me hai 3 switch 3 socket connection diagram hai usse bhi jarur dekhe.
2 switch 2 socket connection diagram.
Pehela connection neutral kya karenge aur aapko ek baat bata doon ki broad mein neutral tabhi aata hai jab kobi us broad mein socket ka connection ho ya phir indicator laga hua ho
socket ke left side pin mein ek wire ko connect karenge aur usake dosare chhor ko dosare socket ke left side pin mein jor denge aur usse pin mein se ek wire ko jor kar sedhe men lain ke neutral mein connect karenge .
Jaisa ki hum jante hai ki ek simple switch mein connection ke roop mein do terminal hote hai jisme sab se upor wale terminal se ek wire chote tukare ko saij ke hisab se jor lenge aur usake dosare chhor ko socket ke right side connect kar denge tik ise tarah doosare socket ke liye bhi yah prakriya apanaenge.
Ab dono switch ke neeche wale terminal ko ek wire ke madad se aapas mein jor lenge aur vahee se kisi ke terminal se wire ko connect karke sedhe men lain ke phase mein jor denge aur is tarah hamara yah circuit completed ho jayega .